Sunday 5 March 2017

AYYAM E FATEMI (sa)

Riwayat:
H. Ali (as) farmate hain, "Ek nabina (blind) shakhs J. Fatima (sa) ke darwaze par aaya aur andar aane ki ijazat chaahi. Bibi Fatima (sa) parde ke pichhe chali gayi'n. Rasule Khuda (saww) ne beti se farmaya, 'Tumne kyun parda kar liye jab ke wo nabina hai, tumhe nahi dekh sakta?' Bibi Zahra (sa) ne farmaya, 'Agar wo mujhe nahi dekh sakta, to main to usay dekh sakti hoo'n aur mumkin hai ke wo mere jism ki buu (fragrance) soongh le'. Rasulallah (saww) J. Fatima Zahra (sa) ki ye baat sun-kar intehaayi khush huwe aur farmaya, 'Gawaahi deta hoo'n ke tum mera ek tukda ho'."
(Haraam Nigaah, p51)
(Bihaar ul Anwaar, v3, p116)


Riwayat:

Rasule Khuda (saww) ki ek biwi Umme Salmah farmaati hain ke, "Main ek din Maimoona (jo Rasule Khuda (saww) ki biwiyo'n mein se hain) ke saath Paighambar (saww) ki khidmat mein thi. Itne mein ek nabina (blind) Sahaabi Ibne Maktoom tashreef laaye. Rasule Khuda (saww) ne farmaya, 'Ihtejab. Tum dono parda kar lo'. Humne kaha, 'Kya wo nabina nahi hai?' Rasule Khuda (saww) ne farmaya, 'Kya tum dono bhi nabina ho? Kya tum dono unhe nahi dekh sakti ho?' Jabhi Surah Nur ki 31 Ayat mein hai ke 'Aye Rasul (saww)! Momena aurato'n se bhi keh dijiye ke wo bhi apni nigaaho'n ko neeche rakhein'."
(Haraam Nigaah, p26)

No comments:

Post a Comment